VRISHTI GEETON KI – A POEM IN HINDI WRITTEN IN GRAD SCHOOL (2005)

Vrishti hai un geeton ki
Srot na jinka megh hai
Yeh bas man ka udweg hai
Jo swar ke kundan feeton se
Shrishti karti hai wah dhara
Apratim jiska weg hai

Tvarit kanth ki vani se
Sneh ke nirmal pani se
Yeh harti hai har hriday kalush
Phir bharke usme sangeet pratyush
Ud jati hai wihgon ke sang
Nabh ki anth-heen dishaon mein
Phailake harson indradhanushi rang
Tab sun kar suron ka ye sangam
Ho uthta hai pulkit ang ang

 

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top