Main Bas Iss Pal Ka Shayar Hoon (Tribute To Sahir)
Main bas iss pal ka shayar hoon, bas iss pal meri kahani hai,
Bas iss pal meri hasti hai, bas iss pal meri jawani hai,
Main bas iss pal ka shayar hoon.
Mere lafzon mein lipti hain, bas iss pal ki kucchh jazbaatein,
Kucchh shadaan dil ka alharpan, kucchh hizraan ki sooni raaten,
Inn raaton ka main aashiq hoon,
Inn khushiyon ka bhi deewana,
Jo bas iss pal mein jal ke mitaa,
Main hoon woh paagal parwana.
Main bas iss pal ka shayar hoon, bas iss pal meri kahani hai,
Bas iss pal meri hasti hai, bas iss pal meri jawani hai,
Main bas iss pal ka shayar hoon.
Na maaji ko maine socha hai, na kal ko main jaana hai,
Yeh pal hee hai saaki bandhu mera, sakha bhi iss ko maana hai,
Bas ab ki ab hai fikr mujhe,
Ab ki ab kehni kahaani hai,
Ab mein hee toh jab sab hai chhupa,
Chahe bachpan, maut, jawani hai.
Main bas iss pal ka shayar hoon, bas iss pal meri kahani hai,
Bas iss pal meri hasti hai, bas iss pal meri jawani hai,
Main bas iss pal ka shayar hoon.
Leave a Reply